Wednesday, 8 August 2012

mai akksar sochta hu

mai akksar sochta hu, sham ki faili si chao.n me,,,,
bina paani ke gar driya kahi hota to kya hota.

kabi khusboo me ghul jata kabhi saaso.n me bas jata,
jo mai hu mai, jo mai kuch or hi hota to kya hota.

kabhi hasta kabhi rota kabhi khamosh hi rahta,
mera dil mere hi sine me gar hota to kya hota....




tumhi ho


meri zami bhi tumhi ho or aasma bhi tumhi,
bya.n karu jo har wakhat wo dasta.n bhi tumhi.

raha tha kab mai betuki fizul duniya me,
teri akho.n me mera ghar mera jaha.n bhi tumhi.

sabhi pagal hai pattharo ko pujte hai jo,
meri dua bhi tumhi ho mera khuda bhi tumhi.

ye "raaz" sirf or sirf tumhare dil me hai,,
jeye to zindagi mare to kabargah bhi tumhi...........




kahe ye kis se

chupaye rakhkhe hai har zakhmo-zard sine me,
bitai dasta.n mlalo-ask pine me.

bas ek zindagi sopi hai hame mola ne---
mare hazar bar ek bar jine me.

ye ek raaz hai marne do ise dab kar ke,
kahe ye kis se ke kitbe hai dard sine me...